Waqt to Sirf Sikha Raha Tha!
Waqt to sirf sikha raha tha
Waqt to sirf sikha raha tha
Kyun laga ki sata raha tha
Wo to sirf bata Raha tha
Rah sahi dikha Raha tha
Andhera sirf tabhi tak tha
Jab tak aankhon ka dwar band tha
Man ke kiwad khol raha tha
Taaron ki Roshni se aangan saja raha tha
Aj man hi angan hai
Man hi manoranjan hai
Aankhein swayam hi darpan hai
Har Jagah apnapan hai
Har Dil mein ek raja hai
Har Dil mein ek rank hai
Har jeev mein ek mitra hai
Har pal ek sunahra Chitra hai
Ek sachha raja fakeer hai
Fakeer ko koi fikra nahi
Man mein mauj hai
Jeev ka bhale pata nahi
Kyun Chintan manan Karein
Kyun na gahan adhyayan Karein
Aur phir befikra hokar
Unchi udaan bharein
Samay to sirf ek shikhshak tha
Adhyayan anokhe padha raha tha
Dhara to tej thi par marg band tha
Marg khol, humari gati badha raha tha
Jaya Sonkar MD MPH
6/1/23
©All rights reserved . Copyright 2023